Thursday, 18 August 2011

title - nahi pata

disclaimer - i m out . 0-0

haan toh baat kare hazare uncle , chachcha me josh bahut hai .
baki akal unke peeche walo me hai , to dum saans hai JAN LOKPAL me

par kya yeh lokpal aapki shikayate door karega ?
pata nahi

aadmi kaam karne me 2 bar sochega ki kahin fass na jau , kaam ki raftar kam hogi ...
desh ki pragati pe asar padega ..
share market ka to waise hi bharosa nahi ....bill ke baad to girega hi girega ..

aur aapka defence , usko q chodd diya aapne ?
usme b bhrasht + achar kam thodi na hai ..
"adarsh ghotala"

chalo anna apna chaukanna hai to usko chodo ....bas itna dhyan rahe ki nikal na le peeche se ...74 saal purani haddiyan hai , par jaandar hai  !!

aap sabhi ko all the best ..
cate , campus ..jo nikalna ho nikalein
aap jo bhi karenge [desh ke andar] , use desh seva hi mana jayega :)

jai hind :)

Friday, 27 May 2011

hunger

"India is failing its rural poor with 230 million people being undernourished — the highest for any country in the world. Malnutrition accounts for nearly 50% of child deaths in India as every third adult (aged 15-49 years) is reported to be thin (BMI less than 18.5)."


- TOI 


now ,  in a country like us , these figures are :(
hum sabhi development ki baatein karte hai ,  chand tak pahuchna hai , world ke top countries me shamil hona hai , economic superpower banana hai ....
" SALLA LOGO KO KHAANE KE LIYE KHANA NAHI HAI , BAKI SAB TO BAIMANI HAI EKDUM "



khali pet koi insaan kuch nahi kar sakta ,nor any country ...
atleast aisa desh ban jaye , jahan sabhi log 2 roti kha kar soye aram se ...
" HUM JEETE HI ISLIYE HAI "

aur koi bada sapna nahi hai yeh ..

sirf logo ko khaana khana seekhna hoga....apni plates me plz khana jhoota na chode ...
"anna bhagwan hai , aaj hi uski bejjati kar lo 

kal jab nahi milega to rote hai log "


humare school me to khana khaane se pehle prayer hoti thi , to give it respect ..
even bachcho ko sikhate hai "khaana choda to paap lagega "

even chotu[ my younger brother ] knows this ...



kripya khaana vyarth me na chode ,  aur chodna b pade to kisi ke kaam aa jaye aisa kuch kare ...
jitna lagta hai utna hi banaye .


" kisi aur ki nahi toh PET ki izzat karo "






inspired by A. TARE 



Tuesday, 24 May 2011

MANMOHAN MAJBOOR HAI

jab humare desh ka PM yeh statement de sakta hai , to hum sab q nahi ?
hum sab ko bol dena chahiye ki hum sab majboor hai ...

KASAB majboor tha ..., har corrupt majboor hai .
chodte q nahi sabhi criminals ko , koi maze ke liye thodi na crime karta hai , sabki majboori rehti hai
me b majboor hoon meri galtiyo k liye
salla moral responsibilty lene ki jagah apani kamiya ginata rahega ..

mana turram hai aap apne field me , par desh wale ki lagi padi hai ...

PM jaise vaade to humare yahan ke builder b colony banane se pehle karte hai , atleast wo b kuch cheeze bana  dete hai .

apne hath se "V" bana denge sardarji
ek ungali pe "bhrashachar" doosre pe "mehanagayi" 

Friday, 20 May 2011

farji baatein


have u ever thought , y we r here ?...
hum q paida huye hai ?..

hum lagatar jeena chahte hai ....chalna chahte hai ....saanse lena chahte hai .....
wo konsi cheez hai jo hume 'maut' se darati hai ?